Tuesday, 20 December 2011

Saath....

Chod kar chal diye phir milne ki ass k saath
Yadoon ki gathri mein baandh aapne anchal k saath
Adhoori batoon ka aagaz phir se karne k saath
Raat ki chandni ko see kar chand k saath
Masoom si hasee ko gud-gudati awaz k saath
Le gaye pehlu mein sameth kar apni tanhaiyoo k saath.




Wednesday, 23 November 2011

Nawal manan

Nawal udaan ko aaya hai ek panchi naya,
Nawal pankho ko faila, nawal ankho se dekhne, nawal duniya ki muskaan,
Kuch soch jaisa kuch soch se pare, ek nawal aagman ko tayaar,
 Nawal aankho ka nawal sapna, jaane ko tayyar uss nawal gagaan ki aor,


Wednesday, 12 October 2011

Adhoori baat

Adhoori si ankho mein hai ass adhoori
Adhoori shaam ki hai raat adhoori
Adhoore panno par puri karni hai kahani adhoori
Adhoore rishto ki meethas hai abi adhoori

Ashq pade hai adhoore se sham k uss saye mein
Adhoore waqt mein khadi hu gumnaam main adhoori si....

Tuesday, 4 October 2011

Kuch baki hai..

Udaan k pankh toh lag gaye hai par, udhne ki seema abhi baki hai
Ankho ko roshni toh mil gayi par, zindagi k undekhe pehluo ko dekhne ki ass abhi baki hai
Haarna toh seekh liya par, haar k jeet ne ka ehsaas abhi baki hai
Ashq se bhare nayanoo se haasna toh seekh liya par, un ashqo ko sambhal k rakhna abi baki hai




Saturday, 17 September 2011

Thoughts in Vapor


Loads of colors bright and vibrant
Soothingly distributing pleasure to the seeker
An artist sketching beautiful imagination into reality
An exquisite hand made card conveying feelings
Now can you say, that blank page is worthless!

A dazzling aero plane for a kid,
An important jotting by a manager,
An intriguing gift for a writer
Now can you say, that blank page is worthless!

Feeling blue and no one to share
A smile flashes from a pile of papers
Restful and serene saying  I am yours
Now can you say, that blank page is worthless!

Gloomy broken relations all alone , aloof
But its only me who have to rebuild
Dreams, Success, my life is waiting to be written
Now can you say, that blank page is worthless!

Tuesday, 13 September 2011

Fursat k kuch pal, khoyi huyi se kuch yadeein
Aashk se bhega wo aanchal, maasom si aankho ko kisi ki talash
Taanhaiyo mein doobi wo neghaye
haan aaj bhi yaad hai wo raat
haan aaj bhi yaad hai wo saath






 

Thursday, 21 July 2011

Nayi awaaz

aao khoje ek aag nayi, ek khel naya jisme haar na ho
aao aagaz kare naya rasta, ek jaado naya jisme subha ho
aao dhundhe naya ek chehra, ek naya junoon jaha chupa ho
aao bhare rang naye, ek nayi roshni ki jagah jaha ho                                                                                                                                aao dhundhe unmukt naya gaagan, ek naye maan ki udaan jaha ho                                                                                                          aao khoje ek muskaan nayi, ek naya josh jisme ho                                                                                                                                   
-Poorva