Sunday, 9 December 2012

Jo dil mein hota hai vahi anko ko dikhta hai

Jo maan mein hota hai vahi zubaan se nikalta hai

Phir kyu ye zamana kehta hai ki kahe huye alfaz kuch aur hai aur dil ki dhadkan kuch aur!

Patta tuth k daali se jab girta hai toh uska koi thikaana nai hota

Nadiyo, jharno aur hawa k saath behta jata hai

Samay k sath din b din badhta hai aur phir bhuda ho ek din tahar jata hai kaun thikaana uska pata
nai!
Tinka tinka bator kar ek chidiya apna gharonda bundti hai phir ek tez hawa ka jhoka use hila deta hai

Maan ko sambal karke apni bagiya ko seechta hai mali phir ek bhawra aak phul ko keh deta hai
aapna

Kya mali ka tha kartavya he itna sab karte huye bhi kuch na kehna!

Bar bar gir kar uthna uth kar phir girna ek rith hai zindagi ki

Par dhundna us hath ko mangna uska sath kya kar sakta hai wo

Mana haq nai dusre pedh ki dali ko hath pakad kar chuna aur apna kehna

Par kya koshish karna use apni zindagi mein shamil krna bhi mumkin nai!

Hazaro log guzarte hai us bagh se us ek bench par baithte hai tamam shaqs

Usse kehte hai sab apna uspe likh dete hai alag alag naam par wo khadi ek he awlamban mein

Ban jati hai sabki kya keh sakti hai wo kisi ko apna!

Friday, 7 December 2012

Kyu dhunde tu wajah jeene ki
Kyu dekhe auro mein khud k jeene ka sabab
Bhor sang uth talashe aaj ek din ki wajah
Taroon ki oth mein khade apalak he kyu soche tu raston ki wajah
Ek aass se kyu dhunde kisi k saath ki wajah
Estabd akela he khade kyu dkhe bitati zindagi k nishano ki wajah