Sunday, 9 December 2012

Jo dil mein hota hai vahi anko ko dikhta hai

Jo maan mein hota hai vahi zubaan se nikalta hai

Phir kyu ye zamana kehta hai ki kahe huye alfaz kuch aur hai aur dil ki dhadkan kuch aur!

Patta tuth k daali se jab girta hai toh uska koi thikaana nai hota

Nadiyo, jharno aur hawa k saath behta jata hai

Samay k sath din b din badhta hai aur phir bhuda ho ek din tahar jata hai kaun thikaana uska pata
nai!
Tinka tinka bator kar ek chidiya apna gharonda bundti hai phir ek tez hawa ka jhoka use hila deta hai

Maan ko sambal karke apni bagiya ko seechta hai mali phir ek bhawra aak phul ko keh deta hai
aapna

Kya mali ka tha kartavya he itna sab karte huye bhi kuch na kehna!

Bar bar gir kar uthna uth kar phir girna ek rith hai zindagi ki

Par dhundna us hath ko mangna uska sath kya kar sakta hai wo

Mana haq nai dusre pedh ki dali ko hath pakad kar chuna aur apna kehna

Par kya koshish karna use apni zindagi mein shamil krna bhi mumkin nai!

Hazaro log guzarte hai us bagh se us ek bench par baithte hai tamam shaqs

Usse kehte hai sab apna uspe likh dete hai alag alag naam par wo khadi ek he awlamban mein

Ban jati hai sabki kya keh sakti hai wo kisi ko apna!

Friday, 7 December 2012

Kyu dhunde tu wajah jeene ki
Kyu dekhe auro mein khud k jeene ka sabab
Bhor sang uth talashe aaj ek din ki wajah
Taroon ki oth mein khade apalak he kyu soche tu raston ki wajah
Ek aass se kyu dhunde kisi k saath ki wajah
Estabd akela he khade kyu dkhe bitati zindagi k nishano ki wajah

Monday, 13 August 2012

Nanha sa koi..

Pankhuri si naram, sheetal chaya uske nanhe nayano ki jhalak mein
Unmukth bekhabar sa soye woh nindiya k gharonde mein

Sukun paye ye maan, jab apalak nihaarti usse meri nazarein
Poochti hu khud se kya sach he mein mere pass hai woh sapno ka khilona.

Resham se ussk sparash ko har pal pass chahe ye maan
Phir godh mein chupa kar kahi door tak chalu, aise badh jate hai kadam.

Ek vraksh bana na hai es beej ko de kar jaado ka sahara
Kyu nahi sama sakti esee bus aise he khud mein.

Friday, 10 August 2012

Ek shunya mein dekh khojti hai wo aapni pahchan
Ehsaas toh hai usse khud k hone ka par phir bhi talashti hai aapna naam
Hota hai tabdiliyon ka silsila par thahar jaati hai waha jaha se aarambh ka pehar chada
Chakr hai shunya ka, gaati hai samaya ki badh rahe aapni raftar se
Par khadi hai wo shunya si shunya mein khudko khojti

Thursday, 23 February 2012

Chalna kar shuru

Jo bhi hai  tere bus mein unhe chod na adhoore
Palat kar dkh na ab bus chu le panne sare
Likhna kar zindagi ko ab tu shuru
Mil jaye bin chahye shayad, par jo hai tera usse pa bhi le tu
Khone ko kya hai tere pass bus tu he hai tu
Safar ko kar tey sari koshisho ko leke
Mudh kar kya dkhna bus tu he hai tu
Toh aa ab chalna kar shuru...

Tuesday, 31 January 2012

Adhbhut pankti se mujh amodh ko la khada kiya tune es sansar mein maa
Haath pakad aanchal mein samete le chali ek anjaani si rah mein maa
Zindagi k anchooye panoo par teri chaya se mil kar par karne ka sahaas kiya maine maa
Aapni raatoon ko mujhe de kar chain se godh mein sulaya tune mujhe maa
Teri parchaai kahe sab jaha b jau par ye bhi jane tere he sanskaro se aage badh rahe hai kadam maa
Ek taufaa diya hai tune, usse sehejne ka sahaas bhi tu he dena maaa