Monday, 13 August 2012

Nanha sa koi..

Pankhuri si naram, sheetal chaya uske nanhe nayano ki jhalak mein
Unmukth bekhabar sa soye woh nindiya k gharonde mein

Sukun paye ye maan, jab apalak nihaarti usse meri nazarein
Poochti hu khud se kya sach he mein mere pass hai woh sapno ka khilona.

Resham se ussk sparash ko har pal pass chahe ye maan
Phir godh mein chupa kar kahi door tak chalu, aise badh jate hai kadam.

Ek vraksh bana na hai es beej ko de kar jaado ka sahara
Kyu nahi sama sakti esee bus aise he khud mein.

No comments:

Post a Comment